Chat GPT se lga google ko dar, sundar pichai ne apni teems ko die ye adesh.

Chat GPT se lga google ko dar, sundar pichai ne apni teems ko die ye adesh 

Chat GPT kyo google ko dara raha hain NYT ki report ke mutabik google ne code red ishyu kiya hain or alag alag teemo se AI besd prodaktras lane ko kaha gya hain. iski wajah chat GPT bataya ja rha hain jo ek chaitbat hain or kuchh samay se kafi teji se popular ho rha hain.

Chat GPT ko lgatar hafte bhar yuj karne ke bad hi maine apko bataya tha ki ye tool google search ki khatme ki shuruaat ki tarah hain halaki apki ray isse alag ho sakti hain lekin ab google ke ek faisle se saf ho chuka hain ki chatGPT ne google search ke lie mushkile khadi karni shuru kar dee hain.

chatGPT dar asal ek chaitbat hain jise open AI name ki company ne taiyar kiya hain. hafte bhar me is chaitbat ko karodo users mil gae hain or ise google search ke raival ke taur par bhi log dekh rahe hain.

ChatGPT kya hain, kam kaise karta hain or ye google search ko kaise mat de sakta hain

Baharhal, new yark taims ki ek riport ke mutabik chatGPT ki badhati hui popularity ko dekhate hue google ne code red ishu kiya hain company ke CIO sundar pichai ne teem se artificial inteligent yani AI products par focus shift karne ko kaha hain.

NYT ki report me kaha gya hain ki google ki perent company alphabet Inc ke CIO sundar pichai ne google AI straiteji ko lekar kai meetings ki hain bataya ja raha hain in meetings ka focus ye hain ki chat GPT se kaise nipata jae yani google search ko chatGPT se jo snabhavit khatare hain uske lie kya kadam uthae jae.

NYT ne google ke kuchh internal memo or audio hasil kie hain jinke rivyu ke adhar par report ki gai hain isme bataya gaya hain ki company ke manegement is bat ko lekar strategy taiyar karne me lage hain google search ko chatGPT kitana nuksan pahucha sakata hain or isse kaise nipata ja sakta hain.

report ke mutabik google research test or sefty division sahit kuchh or teems ko artificial inteligent besd product lane ko kaha gya hain kuchh aplies  ko AI besd ese tools banane ke lie kaha gya hain ki jo text ke adar par graphics taiyar kar sake. gauratalab hain ki open AI ne kuchh samay pahale DALL E pesh kiya tha DALL E ka kam ye hain ki aap use kuchh likh kar dege or isi aadhar par wo apko graphics ya artwork bna kar dega. DALL E bhi chatGPT ki tarah papular hua hain or ye dono tools open AI ne hi taiyar kie hain.

0 thoughts on “Chat GPT se lga google ko dar, sundar pichai ne apni teems ko die ye adesh.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

x